raat ki saari haqiqat din men uryan ho ga.i
ḳhvab ki ta.abir paḌh kar aankh hairan ho ga.i
har nafs sail-e-havadis har qadam amvaj-e-gham
zindagi is daur men tufan hi tufan ho ga.i
arzu-dar-arzu baḌhti ga.iin mahrumiyan
har tamanna rafta rafta dushman-e-jan ho ga.i
kitni be-ma.ani rifaqat abr ke TukḌon men thi
dekh kar mere gharaunde barq-o-baran ho ga.i
vo tire bachpan ki chingari bhi thi mausam-shanas
jab javan hone ke din aa.e farozan ho ga.i
soz-e-dil dard-e-jigar ḳhun-e-tamanna ashk-e-gham
ek laghzish kitne afsanon ka unvan ho ga.i
Leave a Reply