vaar hua kuchh itna gahra paani ka
nikla chaTTanon se rasta paani ka
dekha ḳhuun to ankhon se aansu nikle
joḌ gaya donon ko rishta paani ka
tiron ki bauchhaḌ bhi sahna hai mujh ko
mere haath men hai mashkiza paani ka
uḌti ret pe likhna hai tafsir use
jis ne samajh liya hai lahja paani ka
pighla sona ankhon men bhar leta huun
rang jo ho jaata hai sunahra paani ka
ankhon men jitne aansu the ḳhushk hue
qaht hai ab ke dariya dariya paani ka
chalta huun be-ab zaminon par ‘shahid’
ankhon men phirta hai dariya paani ka
Leave a Reply