• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Agar Hum Na The Gham Uthane Ke Qabil

Agar Hum Na The Gham Uthane Ke Qabil

poet

agar ham na the gham uthane ke qabil

to kyuun hote duniya men aane ke qabil

karun chaak siina to sau baar lekin

nahin daagh dil ye dikhane ke qabil

milen tum se kyunkar rahe hi nahin ham

bulane ke qabil na aane ke qabil

chhute bhi qafas se to kis kaam ke hain

nahin jab chaman tak bhi jaane ke qabil

ba-juz us ke the khaak pahle bhi ai charkh

na the khaak men phir milane ke qabil

kiya tark-e-duniya main jab to ye samjhe

ki duniya nahin dil lagane ke qabil

vo aae dam-e-naza kya kah saken

nahin hont tak bhi hilane ke qabil

khudaya ye ranj aur ye na-suburi

na the ham to is azmane ke qabil

rahe ham na kuchh mustafa-khan ke gham men

na fikr-e-sukhan ne padhane ke qabil

na chhodenge mahbub-e-ilahi ke dar ko

nahin go ham is astane ke qabil

hamen qaid karne se kya nafa sayyad

na the daam men ham to laane ke qabil

na baal munaqqash na par-ha-e-rangin

na avaz-e-khush ke sunane ke qabil

hue hain vo na-qqabilon men shumar ab

jinhen mante the zamane ke qabil

vo ‘azurda’ jo khush-bayan the nahin ab

ishare se bhi kuchh batane ke qabil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Agar Dila Gham-E-Gesu-E-Ya baDh Jata

Haden baDhne Lagi Thi Tirgi Ki

najma-shaheen-khosa

Uski Talab Mein Rah Ko Takti Hai Zindagi

Dil Bhar Aae Aur Abr-E-Dida Mein Pani Na Ho

nusrat-mehdi

Har Ek Qadam Pe Jo Pursan-E-Haal Chahiye Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet