
Qamar Aasi
husn valon ka sar-e-sahil nazara hai ki na.iin
Dubne vaale ko tinke ka sahara hai ki na.iin
jab ki ham donon ne bang-e-dil pe amanna kaha
haal hai ab jo hamara vo tumhara hai ki na.iin
fa.ede se mujh ko zyada fikr hai nuqsan ki
muḳhlisi ke kaam men koi ḳhasara hai ki na.iin
meri sehat ho ga.i behtar tumhare ishq men
tum ko bhi kar-e-mohabbat ne sanvara hai ki na.iin
un ko dekha dekhte hi ham shanavar ho ga.e
bahr-e-ulfat ka ḳhuda jaane kinara hai ki na.iin
ye jabin ruḳhsar ankhen lab hamare hain magar
ye batao dil tumhara bhi hamara hai ki na.iin

Leave a Reply