Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai

ye jo zindagī kī kitāb hai ye kitāb bhī kyā kitāb hai

kahīñ ik hasīn sā ḳhvāb hai kahīñ jān-levā azaab hai

kahīñ chhāñv hai kahīñ dhuup hai kahīñ aur hī koī ruup hai

ka.ī chehre is meñ chhupe hue ik ajiib sī ye naqāb hai

kahīñ kho diyā kahīñ pā liyā kahīñ ro liyā kahīñ gā liyā

kahīñ chhīn letī hai har ḳhushī kahīñ mehrbāñ be-hisāb hai

kahīñ āñsuoñ kī hai dāstāñ kahīñ muskurāhaToñ kā bayāñ

kahīñ barkatoñ kī haiñ bārisheñ kahīñ tishnagī be-hisāb hai

Leave a Comment