baghair samt hua huun main dar-ba-dar kaisa
mujhe bhi ḳhvab dikha.i diya magar kaisa
ḳhayal ḳhatir-e-abr-e-bahar kar na sake
ḳhizan ne luuT liya ab ke ghar ka ghar kaisa
na vo huruf men ḳhushbu na vo suḳhan ki miThas
badal diya hai zamane ne ham-safar kaisa
ham ahal-e-ḳhair nikal aa.e kis ḳharabe men
nizam-e-shar men bana.en ab apna ghar kaisa
main apne aap hi apna vajud bech aaya
mujhe rakha mire apnon ne be-ḳhabar kaisa
ham apne ghar men hain zinda misal shabnam-e-gul
bana hai partav-e-ḳhur ye hisar-e-dar kaisa
gaya jo de ke aziyyat-shanasa.iyan ‘manzar’
mila dobara to aaya tumhen nazar kaisa
Leave a Reply