har chand rahguzar thi dushvar qafiye ki
sun kar na rah sake ham lalkar qafiye ki
din ka sukun gharat raton ki niind gha.eb
sar par laTak rahi hai talvar qafiye ki
ham is ko bandhte kya jakḌa hai is ne ham ko
ab dekhte hain surat na-char qafiye ki
is aas par ki shayad ho jaa.e tang ham par
karte rahe ḳhushamad aghyar qafiye ki
taaza hava chali aur ik lahar dil men uTThi
roke na ruk saki phir yalghar qafiye ki
paaya suragh-e-mazmun gaahe radif men bhi
lazim na thi samajat har baar qafiye ki
dasht-e-ḳhayal men phir kya kya khule manazir
kuchh der ko haTi thi divar qafiye ki
jab sher ka safina bahr-e-ghazal men Dola
us vaqt kaam aa.i patvar qafiye ki
maghrib ki ho kahani ya mashriqi rivayat
unchi rahi hamesha dastar qafiye ki
kuchh sher kaam ke bhi is men nikale ham ne
vo kahte the zamin hai be-kar qafiye ki
phir aur koi naghma bhaa.e na us ko ‘basir’
jo ek baar sun le jhankar qafiye ki
Leave a Reply