bahut dushvar rasta ho gaya hai
safar ab jasta jasta ho gaya hai
ana jhukne nahin deti thi jis ko
vahi ab dast-basta ho gaya hai
tumhara chahne vaala huun main bhi
mira dil bhi shikasta ho gaya
kahan le aa.i hai baunon ki sohbat
hamara qad bhi pasta ho gaya hai
kabhi vo sahib-e-uslub hoga
jo ab lahje se ḳhasta ho gaya hai
janab-e-‘shan’ ka ab jhonpaḌa bhi
shikasta dar shikasta ho gaya hai
Leave a Reply