Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-Kashi to Nahin

chhupī huī kahīñ sajdoñ meñ sar-kashī to nahīñ

ye merī rasm-e-ibādat bhī bandagī to nahīñ

baġhair vaj.h ye saaqī kī be-ruḳhī to nahīñ

maiñ sochtā huuñ kahīñ kuchh ḳhatā huī to nahīñ

maiñ mutma.in huuñ magar sirf ye batā diije

ye ġham jo aap ne baḳhshā hai aarzī to nahīñ

sabhī ke dil meñ mohabbat kī aag hotī hai

sabhī ko raas bhī aa.e ye lāzmī to nahīñ

ajal kā chehra nazar aa.e kuchh bañdhe Dhāras

rah-e-hayāt meñ itnī bhī raushnī to nahīñ

tasavvurāt meñ kuchh der kho to jaatā huuñ

magar ab in meñ bhī aglī sī dilkashī to nahīñ

chaman vahī hai bahāreñ vahī haiñ gul bhī vahī

magar guloñ meñ vo ḳhushbū vo tāzgī to nahīñ

har ek chiiz nazar aatī hai udaas udaas

kahīñ ye mere hī ehsās kī kamī to nahīñ

ye saare rañj ba-qaid-e-hayāt hī to nahīñ

hayāt merī koī umr ḳhizar kī to nahīñ

kisī pe barse koī buuñd buuñd ko tarse

ye aur jo bhī ho saaqī kī munsifī to nahīñ

kabhī jo ‘nūr’ koī rishta-e-vafā TuuTe

ye dekh lenā ki āñkhoñ meñ kuchh namī to nahīñ

Leave a Comment