ḳhuda tu itni bhi mahrumiyan na taari rakh
hamare jism men ik ruuh to hamari rakh
isi bahane hi shayad tira ḳhayal rakhe
tu apne aap pe duniya ki kuchh udhari rakh
tamam ḳhvab tire gal na jaa.en is men hi
yuun har samay na mire yaar ankhen khari rakh
lahu se byaaj chukana paḌega ab tujh ko
diya ye mashvara kis ne ki jaan udhari rakh
talash karna paḌe hansne ka sabab tujh ko
ai zindagi na tu itni bhi hoshiyari rakh
bikhar rahi hai magar kya pata sambhal jaa.e
tu is kahani men ab dastan hamari rakh
na jaane kaun vibhishan use bata aaya
hai meri jaan usulon men choT jaari rakh
qalam udaas hai sahme hue hain saare varaq
gham-e-hayat na yuun sha.iri pe taari rakh
juda hua hai to saman bhi alag kar le
mujhe faqiri de aur apni taj-dari rakh
vafa ḳhulus dagha jhuuT sab main dekhun to
tu mere samne har chiiz baari baari rakh
mashini daur men jazbat kya bayan karna
chhupa ke yaar tabassum men be-qarari rakh
kuchh ek raaz to vajib hain is jahan ke liye
har ek baat na ‘azad’ ishtihari rakh
Leave a Reply