marte marte ye ham ne kaam kiya
jaan de kar vafa ka naam kiya
shaikh sana bana hai ishq men dil
but ko sajda kiya salam kiya
zulf-e-pur-pech khol kar rukh par
ek ja lutf-e-su.bh-o-sham kiya
tum ne majnun kaha to ashiq ne
dasht-e-pur-khar men qayam kiya
mahv-e-hairat bana diya mujh ko
tum ne kis lutf se kalam kiya
chal ke gulshan men dekh le kaisa
mausam-e-gul ne ehtimam kiya
mubtala khud nisar ho jaate
tum ne afsos qatl-e-am kiya
apne bandon ke vaste us ne
vaah kya kuchh na intizam kiya
saari khilqat hui tamashai
tum ne jab baam par qayam kiya
ku-e-janan hai mujh ko khuld-e-barin
main ne apna yahin maqam kiya
khinch laaya ‘jamila’ akhir-e-kar
jazb-e-sadiq ne khuub kaam kiya
Leave a Reply