dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai
baat bigdi thi kuchh aisi ki banai na gai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun men lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulai na gai
ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qaabu
us ne jo aag laga di vo bujhai na gai
pad gaya husn-e-rukh-e-yar ka partav jis par
khaak men mil ke bhi is dil ki safai na gai
kya uthaegi saba khaak miri us dar se
ye qayamat to khud un se bhi uthai na gai
Leave a Reply