ham se ruThi har ḳhushi hai aaj kal
kashmakash men zindagi hai aaj kal
ab shumar-e-dushmanan mumkin nahin
doston ki hi kami hai aaj kal
jahl ka hai bol baala chaar su
agahi anqa hui hai aaj kal
lafz ko barta saliqe se magar
ma.anaviyyat ki kami hai aaj kal
naghmagi us men na sheriyat kahin
sha.iri be-kaif si hai aaj kal
hai taqaza vaqt ka kya kijiye
dushmanon se dosti hai aaj kal
amn gar qaa.em rahe to kis tarah
sharpasandi baḌh ga.i hai aaj kal
inqalab aa.ega kaise ai ‘zaki’
sarfaroshon ki kami hai aaj kal
Leave a Reply