baḌa hi talḳh lahja hai zaban par
liye ho bojh kaisa jism-o-jan par
nishan divar-e-dil ka kah raha hai
koi tasvir thi pahle yahan par
jahan vo dikh rahe hote hain phir to
koi dikhta nahin ham ko vahan par
miri qimat mujhe bhi janni thi
so main ne rakh diya ḳhud ko dukan par
jahan ka har musafir rahbar ho
taras aata hai aise karvan par
mira dar-o-madar-e-zindagi bhi
Tika hai bas tumhari ek haan par
na jaane kaun sa ghar ho tumhara
so dastak de raha huun har makan par
use hairan karna tha so main ne
zamin le ja ke rakh di asman par
Leave a Reply