• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne

Raaz Apna Jo Kah Diya Tu Ne

poet

raaz apna jo kah diya tu ne

dil-e-nadan ye kya kiya tu ne

dard-e-dil ki na ki dava tu ne

na suni meri iltija tu ne

saaf hai kis qadar ye dad-e-dast

dil diya main ne aur liya tu ne

nazr main ne kiya jo apna dil

is ke badle men kya diya tu ne

ho evaz ya na ho karam hai tira

dil-e-muztar to le liya tu ne

raah par muḌ ke kyuun mujhe dekha

ki mohabbat ki ibtida tu ne

va.ada kar ke jo le liya vapas

ai sitamgar ye kyuun kiya tu ne

nahin pahlu men jab qayam-o-qarar

ai ḳhuda kyuun ye dil diya tu ne

dil lagaya tha ek se ‘hafiz’

ai ḳhuda kyuun kiya juda tu ne

mujh ko paida kiya ḳhuda tu ne

aur sab kuchh ata kiya tu ne

teri rahmat ka kuchh hisab nahin

di hai har dard ki dava tu ne

kar ke tauba sambhal gaya aasi

phir bhi us ko bacha liya tu ne

di hain duniya men ne.amaten kya kya

apne bandon ko ai ḳhuda tu ne

pahle batla diya gunah hai kya

afv ki us ki phir ḳhata tu ne

duur phenka na ba.ad-e-murdan bhi

paas apne bula liya tu ne

rahm tera ghazab pe ghalib hai

kyuun bana.i saza jaza tu ne

naaz us ne uTha.e ai ‘hafiz’

rah ke duniya men kya kiya tu ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chehre Shadabi Se Aari Aankhen Nur Se Khaali Hain

ali-sardar-jafri

Mera Safar

Is Ishq Mein Darkar Kahani Hai Zaruri

Ras Aai Na Mujhe Anjuman-Arai Bhi

Jaan KHud-Shanas Ho to Dua Mein Asar Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet