dil-o-dilbar sahi ab ḳhvab se bedar hain donon
sharik-e-majlis-e-ara.ish-e-guftar hain donon
chaman men kya hua gulchin ho bagul-kar kya jaane
nazar aata nahin kuchh nargis-e-bimar hain donon
nigah-e-ahl-e-duniya ho ki chashm-e-nim-ḳhvab un ki
kabhi iqrar hain donon kabhi inkar hain donon
ibadat-ḳhana-ha-e-kufr-o-iman men gaya lekin
nida aa.i ki vapas ja yahan ghaddar hain donon
jidhar daulat ki kirnen hain udhar jaata nahin koi
vo ashiq ho ki sha.ir saya-e-divar hain donon
darun-e-halqa-e-gang-o-jaman hai sher ki duniya
ye dilli lucknow bhi kuchh nahin is paar hain donon
taghaful ki ada ho ya hukumat ki adakari
bura kis ko kahun mere liye sarkar hain donon
Leave a Reply