• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Waqt Par Aate Hain Na Jate Hain

Waqt Par Aate Hain Na Jate Hain

poet

vaqt par aate hain na jaate hain

roz iqrar bhuul jaate hain

vo jo be-vajh muskurate hain

saikdon vahm dil men aate hain

ashk-e-hasrat nikal ke daman men

jaan se haath dhoe aate hain

jab tum aate nahin ho vaade par

malak-ul-maut ko bulate hain

so gaya bakht jab se ro ro kar

saare ham-sayon ko jagate hain

un ko sharm-o-haya nahin aati

dil chura kar nazar churate hain

be-khata hai vo asman mujrim

is ko ilzam kyuun lagate hain

jaan kar ban gae hain ham bhole

chutkiyon men kise udate hain

tere kuche men ham bhi ab thak kar

dil ke manind baithe jaate hain

ghair kya aur us ki hasti kya

aap kyuun muft khauf khate hain

koi taaza sitam kiya ijad

dekh kar vo jo muskurate hain

aag paani men kyuun lagate ho

nek jo log hain bujhate hain

tum mire dil men ho to dekhun main

huur o ghilman kahin samate hain

main ne puchhi jo vajh-e-qatl kaha

thahro dam le ke ham batate hain

ishq tere tufail duniya ke

tanzen sunte hain taane khate hain

be-sabab kya bigadne ka baais

aap ‘parvin’ ko bhi banate hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Qadam uTh Gaya Rawani Mein

afroz-rizvi

Jab Tumhaare Ishq Mein Maine Jalain Ungliyan

Ye KHabar Aai Hai Aaj Ek Murshid-E-Akmal Ke Pas

Raste Mein Aa Rahe Hain Jo Nadi Nale Na Dekh

Sat Dariyaon Ka Pani Hai Mere Kuze Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet