ai saba kah bahar ki baten
is but-e-gul-ezar ki baten
kis pe chhode nigah ka shahbaz
kya kare hai shikar ki baten
mehrbani siin ya hon ghusse siin
pyari lagti hain yaar ki baten
chhodte kab hain naqd-e-dil kuun sanam
jab ye karte hain pyaar ki baten
puchhiye kuchh kahen hain kuchh ‘naji’
aa padin rozgar ki baten
Leave a Reply