basti se chand roz kinara karunga main
vahshat ko ja ke dasht men maara karunga main
vaise to ye zamin mire kaam ki nahin
lekin ab is ke saath guzara karunga main
shayad ki is se murda samundar men jaan aae
sahra men kashtiyon ko utara karunga main
manzar ka rang rang nigahon men aaega
ik aise zaviye se nazara karunga main
ai mehrban ajal mujhe kuchh vaqt chahiye
jab ji bhara to tum ko ishara karunga main
Leave a Reply