• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai

Milan Ki Saat Ko Is Tarah Se Amar Kiya Hai

aanis-moin

milan ki saaat ko is tarah se amar kiya hai

tumhari yadon ke saath tanha safar kiya hai

suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro pade the

suna hai barish ne pattharon par asar kiya hai

salib ka baar bhi uthao tamam jivan

ye lab-kushai ka jurm tum ne agar kiya hai

tumhen khabar thi haqiqaten talkh hain jabhi to!

tumhari ankhon ne khvab ko mo’atabar kiya hai

ghutan badhi hai to phir usi ko sadaen di hain

ki jis hava ne har ik shajar be-samar kiya hai

hai tere andar basi hui ek aur duniya

magar kabhi tu ne itna lamba safar kiya hai

mire hi dam se to raunaqen tere shahr men thiin

mire hi qadmon ne dasht ko rah-guzar kiya hai

tujhe khabar kya mire labon ki khamoshiyon ne!

tire fasane ko kis qadar mukhtasar kiya hai

bahut si ankhon men tirgi ghar bana chuki hai

bahut si ankhon ne intizar-e-sahar kiya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jala Hai Hae Kis Jaan-E-Chaman Ki Sham-E-Mahfil Se

Har Ek KHaliya Ko Aaina Ghar Banate Hue

nazeer-akbarabadi

Gae Hum Jo Ulfat Ki Wan Rah Karne

KHwab Tumhaare Aate Hain

Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-Pas

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet