ghazab kiya tire vaade pe e’tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
kisi tarah jo na us but ne e’tibar kiya
miri vafa ne mujhe khuub sharmsar kiya
hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya
ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor utha haae be-qarar kiya
suna hai tegh ko qatil ne ab-dar kiya
agar ye sach hai to be-shubah ham pe vaar kiya
na aae raah pe vo ijz be-shumar kiya
shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya
tujhe to vada-e-didar ham se karna tha
ye kya kiya ki jahan ko umid-var kiya
ye dil ko taab kahan hai ki ho maal-andesh
unhon ne vaada kiya is ne e’tibar kiya
kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim
ba tang aae to hal-e-dil ashkar kiya
tadap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain
akhir kuchh na bani sabr ikhtiyar kiya
mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini
tamam raat dil-e-muztarib ko pyaar kiya
bhula bhula ke jataya hai un ko raz-e-nihan
chhupa chhupa ke mohabbat ko ashkar kiya
na us ke dil se mitaya ki saaf ho jaata
saba ne khaak pareshan mira ghubar kiya
ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhare taghaful ne hoshyar kiya
hamare siine men jo rah gai thi atish-e-hijr
shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya
raqib o sheva-e-ulfat khuda ki qudrat hai
vo aur ishq bhala tum ne e’tibar kiya
zaban-e-khar se nikli sada-e-bismillah
junun ko jab sar-e-shorida par savar kiya
tiri nigah ke tasavvur men ham ne ai qatil
laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya
ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke men
hazar baar raqibon ko ham-kanar kiya
hua hai koi magar us ka chahne vaala
ki asman ne tira sheva ikhtiyar kiya
na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain
vo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya
jab un ko tarz-e-sitam aa gae to hosh aaya
bura ho dil ka bure vaqt hoshyar kiya
fasana-e-shab-e-gham un ko ik kahani thi
kuchh e’tibar kiya kuchh na e’tibar kiya
asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi
tamam turra-e-tarrar taar taar kiya
kuchh aa gai davar-e-mahshar se hai ummid mujhe
kuchh aap ne mire kahne ka e’tibar kiya
kisi ke ishq-e-nihan men ye bad-gumani thi
ki darte darte khuda par bhi ashkar kiya
falak se taur qayamat ke ban na padte the
akhir ab tujhe ashob-e-rozgar kiya
vo baat kar jo kabhi asman se ho na sake
sitam kiya to bada tu ne iftikhar kiya
banega mehr-e-qayamat bhi ek khal-e-siyah
jo chehra ‘dagh’-e-siyah-ru ne ashkar kiya
Leave a Reply