na dushmanon se vatan men raha kabhi mahfuz
jila-vatan huun to lagti hai zindagi mahfuz
na jaane kaun sa gham murtasim hai is dil par
ki mere honton ne kar li hai khamushi mahfuz
kamal-e-zabt bhi ab is se badh ke kya hoga
hamare siine men rahta hai dard bhi mahfuz
jo aae mere taaqub men ho gae gharqab
hai meri naav kinare pe aaj bhi mahfuz
ye moajiza bhi dikhaya hai agahi ne hamen
siyah-khanon men kar li hai raushni mahfuz
Leave a Reply