haqiqaton ke mumasil majaz karta nahin
main be-javaz kabhi e’tiraz karta nahin
mujhe ḳhabar hai muqaddar ke isti.are ki
main apne dast-e-talab ko daraz karta nahin
har ek ghair se kahta hai vasf saare mire
magar vo shaḳhs ki ḳhud mujh pe naaz karta nahin
kuchh aise lafz hain jo lauh-e-dil pe likhta huun
har ek sher supurd-e-bayaz karta nahin
ik aa.ina sa mire ru-ba-ru jo rahta hai
main razdar se raz-o-niyaz karta nahin
jo dil na chahe to jhukti nahin jabin meri
gunahgar huun rashk-e-namaz karta nahin
shab-e-siyah ko ‘safdar’ shab-e-siyah kaha
main be-lihaz ḳhud apna lihaz karta nahin
Leave a Reply