davat
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
chaman ki god men aa kar sama bhi ja salma
kali kali men baharen basa bhi ja salma
mujhe junun ka sabaq phir padha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
milenge hashr men mat kah ye baar baar mujhe
ho kaise hashr ke vaade pe e’tibar mujhe
khuda ke dil pe nahin koi ikhtiyar mujhe
khuda ko maan yahin hashr utha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar
visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar
riyaz-e-khuld ki baton ka e’tibar na kar
fareb vada-e-farda mita bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
kise khabar hai qayamat men ham milen na milen
faza-e-rauz-e-jannat men ham milen na milen
kashakash-e-abadiyyat men ham milen na milen
kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
ganva na sog men apne shabab ki raten
nazar na aengi phir mahtab ki raten
ye nikhaton ka hujum aur ye khvab ki raten
faza men khvab-e-hasin ban ke chha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
khabar le jald ki umr-e-aziz faani hai
sara-e-dahr ki har chiiz ani-jani hai
ba-rang-e-abr-e-ravan fasl-e-naujavani hai
chhalakne vaala hai saghar pila bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
kise khabar ye ghataen rahen rahen na rahen
ye nikhaten ye havaen rahen rahen na rahen
ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen
sharab-e-vasl ka saghar pila bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
sabat-e-ahd zamane men kisi ne paaya hai
zamana rang badalne ko rang laaya hai
bahar-e-umr-e-ravan badalon ka saaya hai
bahar-e-umr ki khushiyan mana bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
tire khayal ko dil men basae baithe hain
khudai ho ki khuda ho bhulae baithe hain
surur-e-ahd-e-javani lutae baithe hain
tu aa ke qadr-e-javani sikha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
ye fasl aur ye baharen nazar na aengi phir
ye badalon ki qataren nazar na aengi phir
ye halki halki phuvaren nazar na aengi phir
sharab-e-aish-e-masarrat lundha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
bata tu kya ye nazare ujad na jaenge
ye naddiyan ye kinare ujad na jaenge
ye chand aur ye kinare ujad na jaenge
sitara-var shuaen luta bhi bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
ghamon pe ki hain fida shadmaniyan ham ne
khuda ke naam pe taj diin javaniyan ham ne
guzar di hain yunhi zindaganiyan ham ne
dam-e-akhir tu gham se chhuda bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar
ye kohsar dil-e-juebar ke manzar
nazar na aenge phir ye bahar ke manzar
abhi saman hai baharen dikha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
khabar le jald ki bahki hui bahar hai aaj
nashat-e-khuld se maamur sabza-zar hai aaj
ajal pe bhi miri hasti ko ikhtiyar hai aaj
ghurur-e-ishq ki himmat badha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
tu hukm de to sitaron ko chhin laun main
falak se us ke nazaron ko chhin laun main
iram ki mast baharon ko chhin laun main
khudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar duun
kham-e-tarab men kham-e-asman ko gum kar duun
dui ho fard to donon jahan ko gum kar duun
ba-rang-e-ruh badan men sama bhi ja salma
bahar bitne vaali hai aa bhi ja salma
Leave a Reply