
Poet
diya apni ravish par kya gaya hai
hava ka haath bhi ghabra gaya hai
tumhare phuul mujh tak aa ga.e hain
magar yuun bhejna chaunka gaya hai
hamare ḳhvab be-parda hue hain
hamari aankh men jhanka gaya hai
taḌap kar anganon men dhuup bikhri
gala bargad ka phir kaaTa gaya hai
saḌak par shor aur bhagdaḌ macha kar
miri avaz ko kuchla gaya hai
kisi ke haath kaaTe ja rahe hain
kisi ke kaan se jhumka gaya hai
diye ki bhuuk jangal kha ga.i hai
andhera duur tak rota gaya hai
tumhara titliyon par vaar karna
hamare phuul bhi zaḳhma gaya hai

Leave a Reply