vaqt ka kya hai mire yaar badal jaata hai
aag lagti hai to bazar badal jaata hai
ham darakhton ke to phal bhi nahin badle ab tak
in parindon ka to ghar-bar badal jaata hai
khvab har baar sadaen diye rah jaate hain
ik irada hai ki har baar badal jaata hai
raat bhar vasl-e-musalsal men magan rahta huun
aankh khulti hai to kirdar badal jaata hai
maan leta huun tujhe mujh se mohabbat hogi
par mohabbat men adakar badal jaata hai
bain karte hue ‘ahmad’ ko ye maalum nahin
bain se ranj ka meaar badal jaata hai
Leave a Reply