• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dar-E-Mai-Kada Hai Khula Hua Sar-E-charKH Aaj ghaTa Bhi Hai

Dar-E-Mai-Kada Hai Khula Hua Sar-E-charKH Aaj ghaTa Bhi Hai

poet

dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charḳh aaj ghaTa bhi hai

chale daur-e-saqi-e-dilruba ki chaman men raqs-e-saba bhi hai

gham-e-zindagi sahi jan-gusil magar is se koi bacha bhi hai

yahi gham hai raz-e-nashat-e-dil yahi zindagi ka maza bhi hai

yahi zaḳhm-e-dil jo nasib hai yahi soz-e-dil ka naqib hai

ye mire ḳhulus ka rang hai kisi naznin ki ata bhi hai

hai miri nigah men sirf tu kisi aur ki nahin justuju

tire iltifat ki aarzu tiri be-ruḳhi ka gila bhi hai

mujhe kya uḌa.enge bal-o-par ki qafas men umr hui basar

main riha hua bhi kabhi agar to riha.i meri saza bhi hai

miri dastan bhi ajiib hai ye kisi kisi ka nasib hai

kahin zikr-e-bad-e-sumum hai kahin zikr-e-mauj-e-saba bhi hai

na tu uzv-e-jah pe faḳhr kar ki ye zindagi to hai ik safar

tujhe kya ḳhabar are be-ḳhabar dabe paanv pichhe qaza bhi hai

jo bahar fasl-e-shabab thi vo misal-e-abr guzar ga.i

nahin zindagi men koi ḳhushi ki ḳhilaf mere hava bhi hai

vo ba-zo.am-e-husn hain ḳhud-nigar to mujhe bhi naaz hai ishq par

main niyaz-mand sahi magar mujhe ‘soz’ pas-e-ana bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Sar-E-Tahrir Hai Aur Kya Pas-E-Tahrir Dekh

bichhaDna Mujhse to KHwabon Mein Silsila Rakhna

honTon Pe Jo Tere Hai Ye Muskan Meri Jaan

mushafi-ghulam-hamdani

Baad-E-Murdan Ki Bhi Tadbir Kiye Jata Hun

meer-mehdi-majrooh

Zoron Pe Hai Roz Na-Tawani Meri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet