jab aadmi mudd.a-e-haq hai to kya kahen mudda.a kahan hai
ḳhuda hai ḳhud jis ke dil men pinhan vo DhunDhta hai ḳhuda kahan hai
ye bazm-e-yaran-e-ḳhud-numa hai na kar ḳhulus-e-vafa ki baten
sabhi to hain mudda.i vafa ke yahan koi bevafa kahan hai
tamam partav hain aks-e-partav tamam jalve hain aks-e-jalva
kahan se la.un misal-e-surat ki aap sa dusra kahan hai
nihan hain takmil-e-ḳhud-shanasi men jalva-ha-e-ḳhuda-shanasi
jo apni hasti se be-ḳhabar hai vo aap se ashna kahan hai
paḌi hai sunsan dil ki vaadi akela mahv-e-talash huun main
ki ishq ke rah-rau kidhar hain vafaon ka qafila kahan hai
jinhen vasa.el pe hai bharosa ye baat un ko bata de koi
bacha le kashti ko jo bhanvar se ḳhuda hai vo naḳhuda kahan hai
paḌa hi rahne do sar-ba-sajda na chhuTne do ye astana
ki ‘darshan’-e-ḳhasta ka Thikana tumhare dar ke siva kahan hai
Leave a Reply