kahen kya tum suun be-dard logo kisi se ji ka maram na paaya
kabhi na bujhi yatha hamari birah niin kya ab hamen sataya
laga hai birha jigar kuun khane hue hain tiron ke ham nishane
deven hain sauten haman kuun taane ki tujh ko kabhun na munh lagaya
rakhe na dil men kisi ki chinta gale men daale birah ki kantha
daras ki khatir tumhare manta bhikaran apna baran banaya
lagi hain ji par birah ki ghaten talaf talaf kar bahaen raten
tumhari jin niin banain baten akarat apna janam ganvaya
gila mamola ye sab abas hai apas ke ochhe karam ka jas hai
hamara pyare kaho kya bas hai tumhare ji men agar yuun aaya
jo dukh padega saha karungi jase kahoge raha karungi
tuman kuun nis din dua karungi sakhi salamat raho khuda-ya
Leave a Reply