to mil bhi jaa.e to phir bhi tujhe talash karun
har ek daur men taḳhliq-e-irti.ash karun
main faash ho hi chuka huun to kya zaruri hai?
ki apne saath tujhe bhi jahan men faash karun
suragh-e-zist mile reza reza insan ko
butan-e-asr ko kuchh aise paash paash karun
zamin ne qarz diya mujh ko rizq ki surat
marun to kyuun na supurd us ke apni laash karun
mujhe najat mile tira-kariyon se kaash
main nuur uga.un yahan raushni ma.ash karun
miri baqa ka taqaza hai jab bhi rut badle
main jam.a az-sar-e-nau apni qaash qaash karun
jadid daur men rahte hue bhi ai ‘ruhi’
hai aarzu ki na tark apni bud-o-bash karun
Leave a Reply