ye visal o hijr ka mas.ala to miri samajh men na aa saka
kabhi koi mujh ko na pa saka kabhi main kisi ko na pa saka
ka.i bastiyon ko ulaT chuka koi taab is ki na la saka
magar andhiyon ka ye silsila tira naqsh-e-pa na miTa saka
miri dastan bhi ajiib hai vo qadam qadam mire saath tha
jise raz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka
na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki vo sazishen
bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka
kabhi raushni ki talab rahi kabhi hauslon ki kami rahi
main charagh ko tire naam ke na jala saka na bujha saka
vo jo aks rang-e-‘hilal’ thi vo jo aap apni misal thi
mujhe aaj tak hai ḳhalish yahi tujhe vo ghazal na suna saka
Leave a Reply