• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sambhal Na Pae to Taqsir-E-Waqai Bhi Nahin

Sambhal Na Pae to Taqsir-E-Waqai Bhi Nahin

sambhal na paa.e to taqsir-e-vaqa.i bhi nahin

har ik pe sahal kuchh adab-e-mai-kashi bhi nahin

idhar udhar se hadis-e-gham-e-jahan kah kar

tiri hi baat ki aur teri baat ki bhi nahin

vafa-e-vada pe dil nukta-chin hai vo ḳhamosh

hadis-e-mehr-o-vafa aaj guftani bhi nahin

bikhar ke husn-e-jahan ka nizam kya hoga

ye barhami tiri zulfon ki barhami bhi nahin

shikast-e-saghar-o-mina ko ḳhaak rota main

giran abhi mire dil ki shikastagi bhi nahin

hazar shukr ki be-ḳhvab hai sahar ke liye

vo chashm-e-naz ki jo jagton men thi bhi nahin

ye zindagi hi talavvun-mizaj hai ai dost

tamam tark-e-vafa teri be-ruḳhi bhi nahin

ta.alluqat-e-zamana ki ik kaḌi ke siva

kuchh aur ye tira paiman-e-dosti bhi nahin

karam ki vajah na thi be-sabab ḳhafa bhi hai vo

mizaj-e-husn se ye baat duur thi bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Man-O-Tu Ka Hijab uThne Na De Ai Jaan-E-Yaktai

Nazar Ko Haal-E-Dil Ka Tarjuman Kahna Hi paDta Hai

poet

Kabe Se Mujhko Lae Sawad-E-Kunisht Mein

ain-irfan

Hadsa Kaun Sa Hua Pahle

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

Tere Wade Ka Har Ek Ko Agar Etibar Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet