hisar-e-dard sa main sa.i-e-ra.egan sa main
ye sho.ala sho.ala faza aur dhuan dhuan sa main
paheliyan si mire ird-gird bikhri huiin
huzur-e-vaqt koi lamha-e-giran sa main
qadam qadam na.e unvan munh uTha.e hue
kisi rivayat-e-kuhna ki dastan sa main
kisi guzarte hue sanehe ka lamha tu
aur ek lamhe ki ḳhatir ravan-davan sa main
main intizar ki taqdis tu shikast-e-vafa
tu da.eron ka makin dard-e-la-makan sa main
tamam samt vahi shor men faqat main huun
kahan ye shor kahan ek be-zaban sa main
mujhe bana ke tiri aankh khul ga.i jaise
bikhar gaya huun yahan ḳhvab-e-ra.egan sa main
hazaron ḳhvahishen lakhon alam mire hamrah
ragon ka ashk’ kahan jaane karvan sa main
Leave a Reply