kahna ho jo bhi saaf kaho be-jhijak kaho
apnon se koi baat chhupata nahin koi
shayad kisi adu ne tire kaan bhar diye
varna nigah yuun to churata nahin koi
jis men zara bhi kibr ka hota hai sha.iba
us ko nigah men kabhi laata nahin koi
un ko zarur mujh se lagavaT hai kuchh na kuchh
yuun hal-e-dil kisi ko sunata nahin koi
Leave a Reply