KHat Mein Ubhar Rahi Hai Taswir Dhire Dhire

ḳhat meñ ubhar rahī hai tasvīr dhīre dhīre

gum hotī jā rahī hai tahrīr dhīre dhīre

ehsās tujh ko hogā zindāñ kā rafta-rafta

tujh par khulegī terī zanjīr dhīre dhīre

mujh se hī kaam mere Talte chale ga.e haiñ

hotī chalī ga.ī hai tāḳhīr dhīre dhīre

taqdīr rang apnā dikhlā rahī hai pal pal

be-rañg ho chalī hai tadbīr dhīre dhīre

āñkhoñ meñ ek aañsū bhī ab nahīñ bachā hai

ham ne luTā dī saarī jāgīr dhīre dhīre

dekhā hai jab se us ko lagtā hai jaise dil meñ

paivast ho rahā hai ik tiir dhīre dhīre

āsāñ nahīñ thā ġham ko lafzoñ meñ jazb karnā

aa.ī mire suḳhan meñ tāsīr dhīre dhīre

Leave a Comment