rahat-e-banda-e-be-dam kahan hai aa ja
paikar-e-husn sar-e-bam kahan hai aa ja
raunaq-e-bazm hai o jaam kahan hai aa ja
zinat-e-jalva-gah-e-am kahan hai aa ja
ai umid-e-dil-e-na-kam kahan hai aa ja
teri furqat khalal-andaz-e-sukun-e-paiham
teri furqat dil-e-mayus pe ik turfa sitam
teri furqat sabab-e-kavish-o-bedari-e-gham
tu nahin hai to phir aram kahan hai aa ja
shahid-e-aur-e-siyah-bakht o shab-e-tar huun main
khugar-e-nala-e-lazzat-kash-e-avaz huun main
dam-e-tufan-e-havadis men giraftar huun main
roz-o-shab muntazir-e-did-e-rukh-e-yar huun main
dil hai vaqf-e-gham-e-alam kahan hai aa ja
shoala-e-bar-kaf-e-gul dagh-e-jigar tere baghair
khar-bardosh hai daman-e-nazar tere baghair
khun-fishan hai shab-e-gham dida-e-tar tere baghair
chalan aata hi nahin sham-o-sahar tere baghair
muntazir huun sahar-o-sham kahan hai aa ja
daur-e-tariki-e-gham se shab-e-tanhai se
dam-ba-dam josh-e-junun ki sitam-arai se
kaaba-o-dair-o-kalisa ki jabin-sai se
khauf-e-majburi-o-nakami-o-rusvai se
ishq hai larza-bar-andam kahan hai aa ja
muntashir hone lagi anjuman-e-naz-e-hayat
ban gaya khvab har ik manzar-e-aghaz-e-hayat
dam-shikasta sa nazar aane laga saz-e-hayat
ab koi dam men hua jaata hai va raz-e-hayat
aa gaya nazaa ka hangam kahan hai aa ja
Leave a Reply