gul ki ḳhushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah
dil pareshan hai gard-e-ram-e-ahu ki tarah
jo gul-andam makinon ko taraste hain hanuz
shahar men kitne khanDar hain mire pahlu ki tarah
zulf-e-giti ko bhi a.ina-o-shana mil jaa.e
tum sanvar jaao jo ara.ish-e-gesu ki tarah
raqs karta hai zar-o-sim ki jhankar pe fan
marmarin farsh pe bajte hue ghunghru ki tarah
aaj bhi shobda-e-ahl-e-havas hai insaf
dast-e-baqqal men purkar tarazu ki tarah
mahsharistan-e-sukun hai miri hasti ‘mahir’
kisi shahbaz ke TuuTe hue baazu ki tarah
Leave a Reply