aaj karna thi tavajjoh chak-e-daman ki taraf
dhyan ja nikla magar ik ru-e-taban ki taraf
jab hava ke naam pahuncha amad-e-shab ka payam
ek jhonka chal diya sham-e-farozan ki taraf
ek chehra jagmagaya hai sar-e-dasht-e-ḳhayal
ek sho.ala uTh raha hai dil se mizhgan ki taraf
ye bayaban aur us men chiḳhti gaati hava
un se dil bhar le to ja.un rah-e-asan ki taraf
is tarah haa.il nahin hote kisi ki raah men
kyuun bhala itni tavajjoh ek mehman ki taraf
ain mumkin hai ki tu sach bol kar zinda rahe
main ishara kar raha huun ek imkan ki taraf
ik taqaza bebasi ki raakh men dahka hua
ik tazabzub ka safar inkar se haan ki taraf
jis ke badle maut sadiyon ki basar karna paḌe
zindagi ka qarz itna to nahin jaan ki taraf
Leave a Reply