goshmali se kab unhon ne asar liya tha
sarkashon ko jo kaam karna tha kar liya tha
jab utar aa.e the vo badla utarne par
gin ke ek ek sar ke badle men sar liya tha
paanv chaukhaT se bahar us ne nahin nikale
jis ne virse men apni nabzon men Dar liya tha
apne hathiyar taaq men gar saja diye the
kyuun kisi aise shahr men ja ke ghar liya tha
jis ne shorish men fatah paa.i thi us ne yasir
bandiyon se haram-saraon ko bhar liya tha
Leave a Reply