ab vo pahle se mehr-o-mah nahin
koi asuda-e-nigah nahin
jo bhi nikla tumhari mahfil se
us ko duniya men phir panah nahin
ishq ka dard phir bura kiya hai
maut lazim hai ishtibah nahin
zindagi hi gunah jab Thahri
zindagi men koi gunah nahin
dushmanon se to hai hazar mumkin
doston se kahin panah nahin
tum agar markaz-e-tamanna ho
phir tamanna koi gunah nahin
ik jhalak un ki dekh li ‘ehsas’
ab koi markaz-e-nigah nahin
Leave a Reply