tiri vafa men mire intizar men kya tha
ḳhizan ke dard men zaḳhm-e-bahar men kya tha
ye sochna tha na ho jaa.en is qadar majbur
ye dekhna tha tire iḳhtiyar men kya tha
labon ne phuul tarashe nazar ne barsa.e
magar vo kavish-e-mizhgan-e-yar men kya tha
udhar ḳhayal tha ruḳhsar-o-chashm-o-lab ka idhar
ḳhabar nahin dil-e-ummid-var men kya tha
nazar ke kanTe pe tul kar subuk hue na garan
tavazun-e-nigah-e-nau-bahar men kya tha
nigah men ramz-e-ghazal lab pe maqta-e-tamkin
bayan to kijiye us iḳhtisar men kya tha
labon ko tum ne to ‘mas.ud’ si liya tha magar
tabassum-e-nigh-e-raz-dar men kya tha
Leave a Reply