vahi husn-e-yar men hai vahi lala-zar men hai
vo jo kaifiyat nashe ki mai-e-khush-gavar men hai
ye chaman ki aarzu hai koi luut le chaman ko
ye tamam rang-o-nikhat tire ikhtiyar men hai
tire haath ki bulandi men farogh-e-kahkashan hai
ye hujum-e-mah-o-anjum tire intizar men hai
bas usi ko todna hai ye junun-e-nafa-khori
yahi ek sard khanjar dil-e-rozgar men hai
abhi zindagi hasin hai abhi zikr-e-maut kaisa
abhi phuul khil rahe hain abhi to kanar men hai
abhi mai-kada javan hai abhi mauj men hai saaqi
abhi jaam raqs men hai abhi mai bahar men hai
yahi mera sher-o-naghma yahi meri fikr-o-hikmat
jo suru-o-dard-mandi dil-e-be-qarar men hai