zalim tire va.adon ne divana bana rakkha
sham-e-ruḳh-e-anvar ka parvana bana rakkha
sabza ki tarah mujh ko is gulshan-e-alam men
apnon se bhi qismat ne begana bana rakkha
taqlid ye achchhi ki saaqi ne mire dil ki
TuuTe hue shishe ka paimana bana rakha
da.ava tiri ulfat ka kahne men nahin aata
ghairon nai magar is ka afsana bana rakkha
afsos na ki dil ki kuchh qadr ‘aziz’ afsos
ka.aba tha use tu ne but-ḳhana bana rakkha
Leave a Reply