
Mohammad Sharfuddin Sahil
ye kaisa zulm-o-sitam bad-qimash karta hai
vo be-gunah ka dil pash-pash karta hai
sukun-e-qalb se vo shaḳhs ho gaya mahrum
havas ki qaid men fikr-e-ma.ash karta hai
mila hai aaj sabab ye shikast-e-paiham ka
mira hi dost mire raaz faash karta hai
ye tiir us ke taqaddus ko kar gaya majruh
vo baat karta hai jab dil-ḳharash karta hai
use mizaj-e-munafiq se ḳhaas nisbat hai
vo va.ada karke bhi aksar nirash karta hai
ye ird-gird hi rahti hai us ke a ‘sahil’
ajiib shaḳhs hai neki talash karta hai

Leave a Reply