husn ki jitni baḌhin ra.ana.iyan
ishq ke sar ho ga.iin rusva.iyan
us nigah-e-naz ka aalam na puchh
chhu ga.i jo qalb ki gahra.iyan
vo harim-e-naz men bechain hain
yaad aati hain miri tanha.iyan
un hasin a.ankhon men aansu aa ga.e
aah mere ishq ki rusva.iyan
mahfil-e-duniya ko Thukra duun magar
jalva-farma hain tiri ra.ana.iyan
husn ke daman pe dhabba aa gaya
duur ja pahunchen miri rusva.iyan
mere qadmon men hai aish-e-javedan
tere gham ki hain karam-farma.iyan
ishq ki fitrat hai ‘arif’ bebasi
chal nahin saktin tiri ḳhud-ara.iyan
Leave a Reply