• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zindagi Ek Aziyyat Hai Mujhe

Zindagi Ek Aziyyat Hai Mujhe

zindagi ek aziyyat hai mujhe

tujh se milne ki zarurat hai mujhe

dil men har lahza hai sirf ek ḳhayal

tujh se kis darja mohabbat hai mujhe

tiri surat tiri zulfen malbus

bas inhi chizon se raghbat hai mujhe

mujh pe ab faash hua raz-e-hayat

ziist ab se tiri chahat hai mujhe

tez hai vaqt ki raftar bahut

aur bahut thoḌi si fursat hai mujhe

saans jo biit gaya biit gaya

bas isi baat ki kulfat hai mujhe

aah meri hai tabassum tera

is liye dard bhi rahat hai mujhe

ab nahin dil men mire shauq-e-visal

ab har ik shai se faraghat hai mujhe

ab na vo josh-e-tamanna baaqi

ab na vo ishq ki vahshat hai mujhe

ab yunhi umr guzar ja.egi

ab yahi baat ghanimat hai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bas Ek Nazar Mein Dil-O-Jaan Figar Karta Hai

Maine ghaTe Ka Bhi Ek Sauda Kiya

Kya Gham Jo Falak Se Koi Utra Na Sar-E-KHak

Dar-E-Kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai

poet

Harif-E-Raaz Hain Ai Be-Khabar dar-O-diwar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet