vaqt ab sar pe vo aaya hai ki sar yaad nahin
tere divanon ko bhi ab tira dar yaad nahin
haae vo shab jo tire vaada-e-shab men guzri
haae vo shab hai ki jis shab ki sahar yaad nahin
zindagi kaise kati davar-e-mahshar ye na puchh
vo safar yaad to hai rakht-e-safar yaad nahin
mere aamal pe jaae to ye samjhunga tujhe
yaad hai daman-e-tar dida-e-tar yaad nahin
pyaar se ab bhi vo takte hain mujhe par un ko
jis ne dil luut liya tha vo nazar yaad nahin
umr-bhar thaam ke us shokh ka daman roe
‘soz’ kya us pe hua us ka asar yaad nahin
Leave a Reply