dard-e-dil ka kise karun iz.har
gham-e-hijrat ba-jan-e-man bisyar
nargisi chashm ko kahan pa.un
jise taskin ho ḳhatir-e-afgar
rakhkhun apna kafan silane ko
pa.un gar mu-e-zulf ka yak-tar
baaqi arman raha ba-dil afsos
jaan jaati hai yaar yaar pukar
sanama zaliman sata le aa
muntazir koi dam raha be-shumar
dekhna dekh le dikha surat
varna phir main kahan kahan tu yaar
‘afridi’ gira ba-chah-e-zanaḳh
mah-e-kan.an ki tarah lachar
Leave a Reply