vaqar-e-dard-o-gham-e-zindagi nahin malum
nahin hai aadmi kyon aadmi nahin malum
suluk-e-dost ka shikva nahin magar kab tak
hamen Dubo.egi ye sadgi nahin malum
tamam umr rahe hadisa-shikar magar
rahi kyon yaad tiri choT hi nahin malum
ghazab ki pyaar ki rahon men aaj chal nikle
vo jin ko nam-e-vafa bhi abhi nahin malum
chaman khila to chuke ham jarahat-e-dil ka
kali khilegi kab ik aas ki nahin malum
sukun-e-dil na qarar-e-hayat hai ham ko
ho ḳhatm kab ye navazish tiri nahin malum
hamare pyaar ko ‘shaghil’ na mil sakega pyaar
hamen kahega bhi apna koi nahin malum
Leave a Reply