vajud ko jigar-e-mo’tabar banate hain
alam pe haath to nezon pe sar banate hain
chaman bhi ho koi amboh-e-ḳhar-o-ḳhas jaise
ye kar-ḳhane to barg o samar banate hain
hava ka tabsira ye sakinan-e-shahr pe tha
ajiib log hain paani pe ghar banate hain
qarin-e-aql hai kya koi sochta hi nahin
ḳhabar uḌane se pahle ḳhabar banate hain
nahin ye shart ki sab tez-gam ho jaa.en
jo dida-var hain unhen ham-safar banate hain
kaḌi ho dhuup to do phuul pyaar ke hans kar
tapsida rahon men shaḳh-e-shajar banate hain
kamal-e-kibr se kahta tha charagar mera
ki ham tufang o sinan pusht par banate hain
kabhi sukun kabhi josh-e-junun kabhi hairat
mira mizaj mire kuza-gar banate hain
kiya rahin-e-hunar ham ko na-rasa.i ne
udaas banhon men shams o qamar banate hain
ḳhayal-e-ḳhair hasinon men hai ki vaqt-e-ḳhiram
zamin ko madan-e-lal-o-guhar banate hain
Leave a Reply